Raah dekhi thi is din ki kab se,Aage ke sapne saja rakhe thay naa jane kab se,Bade utawle thay yahaan se jaane ko,Zindagi ka agla padaav paane ko,Par naa jane kyon dil mein aaj kuch aur aata hai,Waqt ko rokne ko jee chahta hai,Jin baton ko lekar rote thay,Aaj un par hansi aati hai,Naa jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai.Kaha karta tha badi mushkil se itne saal seh gaya,Par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya,Kahin ankahi hazaaron batein reh gayi,Na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi,Meri taang ab kaun kheencha karega,Sirf mera sir khane ko kaun mera peechha karega.Jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupaye ke liye kaun ladega,Kaun raat bhar saath jag kar padega,Kis ki gaadi main poochhe bina le jaunga,Kaun mere naye naye naam banayega.
Main ab bina matlab kis se ladoonga,Bina topic ke kis se faalto baat karoonga,Kaun fail hone par dilasa dilayega,Kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega.Aise dost kahaan milenge,Jo khai mein bhi dhakka de aayein,Par phir tumhein bachane khud bhi kood jayein,Mere gaano se pareshaan kaun hoga,Kabhi mujhe kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga,Kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai,Kaun peechhe se bula ke kahega aage dekh bhai.Movies main kis ke saath dekhhonga,Kis ke saath boring lectures jheloonga,Mere asli certificates ko raddi kehne ki himmat kaun karega,Bina dare sachi rai dene ki himmat kaun karega.Stage par ab kis ke saath jaoonga,Juniors ko faltoo ke lectures kaise sunaonga,Achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hasna,Naa jaane yeh phir kab hoga,Keh do doston ye dobaara sab hoga
Doston ke liye professor se kab lad payenge,Kya hum ye phir kar payenge,Raat ko 2 baje kaun mere liye coffee banayega,Tez gaadi chalane ki shart kaun lagayega,Kaun mujhe meri kabiliyat par bharosa dilayega,Aur zyada hawa mein udne par zameen pe layega.Meri khushi mein sach mein khush kaun hoga,Mere gam mein mujh se Zyada dukhi kaun hoga,Meri yeh kavita kaun padega,Kaun ise sach mein samjhega.Bahut kuch likhna abhi baaki hai,Kuch saath shayad baaki hai,Bas ek baat se dar lagta hai doston,Hum ajnabi na ban jayein doston,Zindagi ke rangon mein dosti ka rang feeka na pad jaye,Kahin aisa na ho doosre rishton ki bheed mein dosti dum tod jaye.Zindagi mein milne ki fariyaad karte rehna,Agar na mil sakein to kam se kam yaad karte rehna,Chahe jitna hass lo aaj mujh par,Main bura nahi manooga,Is hansi ko apne dil mein basa loonga,Aur jab yaad aayegi tumhari,Yehi hansi lekar thoda muskura loonga.
Saturday, May 12, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment